Friday, April 07, 2006

Shikast-e-Wafaa

Jaane kyun iss qadar khaamosh yeh tanhaayi hai aaj;
Gham ka woh chehra haseen shaam phir le aayi hai aaj;

Mehfil-e-raanaayi hai, viraani ki shama bhi raushan hai;
Hur simt se yaadon ki chaadur lapete bahaar aayi hai aaj;

Jashn-e-Khudai mein yeh kahaan mumkin, mukammal ho har baat;
Uss par zamaane ka sitam, har taraf aalam-e-bewafaai hai aaj;

Sanam kade ke darr pe khara hun subeh ke intezaar mein;
Kaya khoob woh jaam-e-visaal hai jo tu ne pilaayi hai aaj;

Kiska gila karun, kaun sa shikwa tujhe nazar-e-inayat karun;
Tune khud hi wafaa ki aarh mein meri hasti mitaayi hai aaj;

Ab dard ke aaghosh mein soye hain hasraton ke saare khwaab;
Zindagi bhi "Arman" shikast-e-wafa meiN samaa kar aayi hai aaj;


- "Arman"

4 comments:

Qais Mujeeb said...

Bahut Umda !!!

Kya gehraii hai is kalaam mein.. Bahut khoobsoorat alfaaz mein aur haseen andaz mein dard aur wafa ki tasveeer pesh ki hai.

Unknown said...

Kiska gila karun, kaun sa shikwa tujhe nazar-e-inayat karun;
Tune khud hi wafaa ki aarh mein meri hasti mitaayi hai aaj

Kya Baat hai !!!

I checked this website yesterday...I guess I saw the link on ur space but my class was going to be over so I didn't had the time to read anything...

It is GR8 !

Keep up the good work :)

Arman said...

Rang-e-Hayat saheb/saheba,

It's a pity I don't know your exact name. Thanks for your comment!! I checked your space also, it's great too!! I specifically liked the First post on . See my comment on that...

Do contact me at thelibrettist@gmail.com, Allah has given us this great opportunity to learn from each other.

Anonymous said...

its really great
m-Allah