Friday, April 07, 2006

Shikast-e-Wafaa

Jaane kyun iss qadar khaamosh yeh tanhaayi hai aaj;
Gham ka woh chehra haseen shaam phir le aayi hai aaj;

Mehfil-e-raanaayi hai, viraani ki shama bhi raushan hai;
Hur simt se yaadon ki chaadur lapete bahaar aayi hai aaj;

Jashn-e-Khudai mein yeh kahaan mumkin, mukammal ho har baat;
Uss par zamaane ka sitam, har taraf aalam-e-bewafaai hai aaj;

Sanam kade ke darr pe khara hun subeh ke intezaar mein;
Kaya khoob woh jaam-e-visaal hai jo tu ne pilaayi hai aaj;

Kiska gila karun, kaun sa shikwa tujhe nazar-e-inayat karun;
Tune khud hi wafaa ki aarh mein meri hasti mitaayi hai aaj;

Ab dard ke aaghosh mein soye hain hasraton ke saare khwaab;
Zindagi bhi "Arman" shikast-e-wafa meiN samaa kar aayi hai aaj;


- "Arman"

Thursday, April 06, 2006

Dastoor-e-safar

Ek khaamosh sa lamha, chhookar beh gaya
Ek zindagi mili, ek waqt theher gaya

Kuchh baat thi us galiyare ki, jahan se guzar gaye hum
Us galiyare mein ek dil theher gaya

Kabhi dee thi dastak, haule haule dhadkan si
Kabhi ruk gayi, kabhi haath theher gaya

Kahan ki khushi phir laut aayi hai aaj
Kahan ka ghum, theher kar bikhar gaya

Shayad yehi dastoor-e-safar hai ke
Unke saath, ek manzar theher gaya.

Arman ki khwahish...

shikast-e-wafa nahin hoti, shikast hoti hai ummeed-e-wafa ki,
zindagi dhokha nahin hoti, dhokha hoti hai zindagi se khwahish,
Iss safar mein dard-o-gham ka saath,
Reh jaata hai sirf ek ehsaas bankar,
Gar nahin hota hai khauff karam-e-muqaddar ka...

Sunday, April 02, 2006

Jashn-e-Mehdi Hassan

Mehdi Hassan ke gale mein Bhagwaan bolta hai…
Lata Mangeshkar

They say a true evaluation of one’s genius is that which comes from one’s own peers. So, do we need a greater proof of evidence to proclaim the genius of Mehdi Hassan than these laudatory remarks by the Melody Queen, Lata Mangeshkar? Best known for his unparalleled magnum opus GuloN meN rang bhare…, Mehdi Hassan has to his credit greater credence and vehemence in the world of ghazal singing than what any lexis can claim to express.


To lovers and affiliates of ghazals or Urdu poetry, Mehdi Hassan is not a new name. Acclaimed as the “King of Ghazals,” Mehdi Hassan instantly shot to fame and glory by the famous ghazal: GuloN meN rang bhare, Baad-e-nau-bahaar chale… In his singing career, which now extends more than 50 years, Mehdi Hassan has the credit of having sung more than 30,000 ghazals and geets. What makes his panache unrivaled is his dexterity for even the most difficult of ragaas, or musical notes. His popularity and distinction has been ever increasing, and people do not cringe in bracketing him together with the greatest of Pakistani ghazal singers like Nusrat Fateh Ali Khan and Noor Jahan.

Mehdi Hassan has had an enduring singing career, embracing a gamut of celebrated and legendary ghazals. The list is endless, but some prominent are as:

* Meray khayal-0- khwab ki duniya liye huway – Film: Shikaar; 1962
* Duniya kisi kay pyar mein – Film: Jaag Uthaa insaa; 1966
* Mujhay tum nazar say gira tau rahay ho – Film: Doraha; 1967
* Ik naye morH pay lay aaye hain – Film: Ehsaan; 1967
* Ye kaghazi phool jaisay chehre – Film: Devar Bhaabhi; 1967
* Tark-e-ulfat ka sila – Film: Dil mera dharkan teri; 1968
* Ye wafaon ka diya aap ne – Film: Phir chaand niklega; 1970
* Khamosh hain nazaaray – Film: Bandagi; 1972
* Ga meray diwanay dil – Film: Daulat aur duniyaa; 1972

Take time to visit

http://www.aligarians.com/category/singers/mehdi-hassan/ and celebrate the cavalcade; Jashn-e-Mehdi Hassan.

References:


* Pakistan Television Corp. Ltd.

http://www.ptv.com.pk/webptv/singer13.asp

* Wikipedia, the free encyclopedia http://en.wikipedia.org/wiki/Mehdi_Hassan