Thursday, March 30, 2006

My latest composition

Jaane kyun iss qadar khaamosh yeh tanhaayi hai aaj;
Gham ka woh chehra haseen shaam phir le aayi hai aaj;
Dard ke aaghosh mein soye hain hasraton ke saare khwaab;
Zindagi bhi yoon shikast-e-wafa meiN samaa kar aayi hai aaj.

- "Arman"

2 comments:

BuraNaMaano said...

shikast-e-wafa nahin hoti, shikast hoti hai ummeed-e-wafa ki,
zindagi dhokha nahin hoti, dhokha hoti hai zindagi se khwahish,
Iss safar mein dard-o-gham ka saath,
Reh jaata hai sirf ek ehsaas bankar,
Gar nahin hota hai khauff karam-e-muqaddar ka...

Arman said...

Bisen bhai, this is great!! I had read it earlier, but am commenting on it now. This should be included as an independent post. Please do so!!