Woh they kitne qareeb jo aaj rehte hum se door hain;
Poochne pe kaha wafaa ka ab to yehi dastoor hai;
Kal takk main rukh-e-saaqi thaa unke mainkhaane ka;
Ab kaya maye aur maikhana, wafa ki ummeed fazool hai.
Wafa sikha kar woh kehte hain ruswai na karo;
Hum wafa karne wale hain, humse bewafai na karo;
Phir farz ke naam par utaar diya seene mein khanjar;
Hum jo tadpe to kaha dard ki duhaai na karo;
Chup reh kar seh gaye hum ilzaam bewafai ka;
Arman is daur mein ab aur dil aashnaayi na karo...
Woh kehte hain Wafa-e-fan ki shaahkaar hai yeh duniyaa;
Haasil-e-muqaam ki justajoo mein bezaar hai yeh duniyaa;
Meel ke un paththaron ko nazr-e-zarra kar ke muskuraye;
Kaha Arman, fankaaron ka baazaar hai yeh duniyaa...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment