Tuesday, August 07, 2007

Jawab-e-Shikwa - Bewafai - By Arman

Woh they kitne qareeb jo aaj rehte hum se door hain;
Poochne pe kaha wafaa ka ab to yehi dastoor hai;
Kal takk main rukh-e-saaqi thaa unke mainkhaane ka;
Ab kaya maye aur maikhana, wafa ki ummeed fazool hai.

Wafa sikha kar woh kehte hain ruswai na karo;
Hum wafa karne wale hain, humse bewafai na karo;
Phir farz ke naam par utaar diya seene mein khanjar;
Hum jo tadpe to kaha dard ki duhaai na karo;
Chup reh kar seh gaye hum ilzaam bewafai ka;
Arman is daur mein ab aur dil aashnaayi na karo...

Woh kehte hain Wafa-e-fan ki shaahkaar hai yeh duniyaa;
Haasil-e-muqaam ki justajoo mein bezaar hai yeh duniyaa;
Meel ke un paththaron ko nazr-e-zarra kar ke muskuraye;
Kaha Arman, fankaaron ka baazaar hai yeh duniyaa...

"Shikwa" - By Qais

badey ruswa le lagte ho...........
bewafai ka ilzaam bhi lagate ho
ye to kaho ki wafa kisne ki
kisne shuru kia khel bewafaai ka
:)
jo tum banane waale ho aashiana duur kahin;
kyun aas lagate ho wafaa ki unse jinse jaana hai duur kahin

jise tum wafa-e-asbaab samajhte thay wo thee wafaa-e-fan
wafa-e-fan se wafa karo, maqsad-e-zindagi se ru-ba-ru ho
khamoshi nahi hai nishan bebasi ka, izhar-e-dard ka
ye wo taaqat hai jo milti hai phaile huey samandar ko
tum to is taraqqi pasand duniya mei mahez ek musafir ho
phir kyun meel ke patharon se dil aashnai karte ho

Monday, April 16, 2007

Kho Gaye

Dhalti shaam ke saaye mein, kahin gum ho gaye
Thaki hui see hawa ke saath, rookhsaar ho gaye
Rukhsat kiya na kisi ne hamein jaate dekha
Ke aatey aatey paas khud se door ho gaye

Dhoondhati hai usey khamoshiyon mein
Uski awaaz aaj laawaris hai
Goonjati siskiyan kho jaati hain
Jaane kyon sannaton mein, zaar zaar ro gaye...