Wednesday, November 15, 2006

Meet Aashna

One day I suddenly came across her - Aashna, that's what she calls herself. The reason we got together is the same passion of poetry. She might be an amateur in the field, but has often inspired me with her words.

Here I present a few of her lines.
___________________________________________________________________________

aaj koi achchaa lagne lagaa
har sapna sachcha lagne lagaa
jiska tha Aashna ko intezaar
woh apna paas aaney laga

-------------------------------------------

kuch na paa sakin, kuch na kho sakin,
aur kuch nahin tho wafa bhee na kar sakin
pyar mein Dil ki mehfil ko roshan jo karein
aashna woh shama bhee na ban sakein

--------------------------------------------

Mera tanha mann... aur soona aangan...
sunai dethi hain... sirf hawaon ki gunjan...
Iss sukoon mein mahsoos hoti....
teri wo khushboo, aur meri ye dhadkan

-----------------------------------------

uss manzar ko kaise na dekhein
jismein jhalak tumhari ho
uss pal ko kaise bhulayien
yaad teri jismein basi ho
Aashna kaise roke us saans ko
jismein teri arzoo pali ho

------------------------------------------

koi mashroof hain kaam mein,
toh koi shaam-e-gum mein,
koi tanhayion mein,
toh koi khamoshiyon mein
Aashna toh masroof hain
kabhi na khatm ho jo
kisike intezaar mein

------------------------------------------

intezaar in paloin mein hain itni sitam
chin rahaan sukoon badh rahein hain gum
Ye soch kar Aashna ki aankhen hain numm
kab hoga chandini raat mein teri baahon ki maalaa sanam

No comments: