Tuesday, May 23, 2006

Shab-e-Firaaq

This was published at "Rang-e-Hayat" http://www.spaces.msn.com/rang-e-hayat/

===========================================================

Zikr-e-Shab-e-Firaaq Se Wehshat Usay Bhi Thi
Meri Tarha Kisi Se Mohabbat Usay Bhi Thi

Mujhko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka
Raasta Badal K Chalne Ki Aadat Usay Bhi Thi

Us Raat Bohat Dair Tak Woh Raha Mehav-e-Guftugoo
Masroof Main Bhi Kam Tha Faraaghat Usay Bhi Thi

Sunata Tha Woh Bhi Sabse Purani Kahaniyan
Taaza Rafaqaton Ki Zarurat Usay Bhi Thi

Mujhse Bichar K Shehar Main Ghul Mil Gaya Woh Shaks
Halankey Shehar Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi

Woh Mujhse Barh K Zabt Ka Aadi Tha Jee Gaya
Werna Har Ek Saans Qayamat Usay Bhi Thi !

-Parveen Shakir-

Thursday, May 18, 2006

Jafaa-e-zamaanaa

This was posted on aligarians.com; liked it so am posting it here... Don't know the name of the shaayar... ;-)

Jigar aur dil ko bachaanaa bhii hai;
Nazar aap hii se milaanaa bhii hai;
Muhabbat kaa har bhed paanaa bhii hai;
Magar apnaa daaman bachaanaa bhii hai;
Jo dil tere Gham kaa nishaanaa bhii hai;
Qatiil-e-jafaa-e-zamaanaa bhii hai;

[Qatiil : slain; jafaa-e-zamaanaa : cruelty of the world]

Ye bijlii chamaktii hai kyuN Dam-ba-dam chaman meN ko’ii aashiyaanaa bhii hai

[dam-ba-dam : now and then ...]

Saturday, May 13, 2006

Caravan Serai

Kaash ke yeh kadam tham jaayein
Yeh safar kuchh lambaa ho chala hai
Hum chalein hain door talak
Ke bahut door falak ho chala hai
Zameen ko yeh guman bhi nahi
Khaaksaar yeh badan ho chala hai
Koi in kadamon ko lagaam de
Ke in kadamon ka hosh
Hawa ho chala hai...